Wednesday, August 4, 2010

About Me!

1.dreamer
2.lazy
3.kabhi kabhi(ya shayad aksar)darr lagta hai
4.koshish karta hu hamesha sach bolu magar aksar galti ho jati hai
5.kisi ko dukhi nahi karna chahta par kabhi kabhi shaitan hawi ho jate hai,kyunki aatma thodi kamzor hai shayad
baad me khub rota hu,ya truth ka pallu me chup jata hu
6.bachche ya kaho ki innocence achcha lagta hai
7.logoko khush dekh ke achcha lagta hai,par aatma kamzor hai isi se irshya hawi ho jati hai
kabhi kabhi,par aaj kal sach bolne wali aatma ke chalte thoda control ho jata hai
8.hamesha har kisi ke saath rahana chahta hu
9.badai sunna achcha lagta hai,par agar halka bhi andesha ho ki maza liya ja raha hai ya phasaya ja raha hai
to vyagrata,krodh,nafrat hawi ho jati hai
10.kisi ki madad karne ka mann karta hai,zahir hai apne antas ki santushti ke liye,par usse fayda lene ki ichcha
awaze karne lagti hai antar mann me.
11.tiraskar bardasht se bahar hai,kisi ko chahu agar aur wo dhyan bhi na de to khud ko kasht dena achcha lagta hai.

bas itna hi ha kabhi kabhi ye lagta hai ki kitna achcha hota ki joo film chal rahi hai
usme aage kahani badhna band ho jae aur puri film ekbaar fir dekhu,jab tak mann na bhar jae
mann bhar jane ke baad kahani fir aage likhi jae,aisa lagta hai zindagi me bahot kuch hua jise mai ji bhar
ke dekh nahi paya.

13.ha ek baat aur mere paas job nahi hai,paise kamane ka koi srot nahi hai.